Itihas gavah hai puratan se laker aaj tak ham sansar ko disha nirdesh dete aaye hain aur dete bhi rahenge, jab tak bhartia rajneeti purn roop se vidushit hone se bachi rahegi. Bhartia aadhyatma vishawa choti ka adhyatma ka agrani raha hai chahe vah August Comte, Sukrat ya Pluto hon Marx ya Lanin sabhi ko yadi bhartia paridrashya se dekha jai to ve adhyatma darshan ke vyakhya matra the aadhar nahin. Isilia aaj bhi hamin apane aap ko aadhar stambh mante hua un mukhya binduon par vichar karna hoga jo hamari rajneetik mahtwakanksha ko vyaktivad ki vyavastha se alag kar samajik aadarshvadita ki ore agrasar Karain. Hamain rashtriya rajneeti ko bhogolik rajneeti ka darja dena hoga. Shining India ore Aam Aadmi ki rajneeti se upar uthana hoga. Rajneeti ko rajya ke sath he na rakhakar aadhyatma ke sath bhi jorhna hoga ore yah tabhi sambhav ho payega jab “Kalam” vyapar na bankar parivatan ki chetana banegi. Gharon ke bed room or bath room ki vyakhya na kar rajbhawan ke karyon ki uchit avalokna karegi.
Thursday, May 24, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment