Achanak mujhe mere bachapan ka vo waqt yad aata hai,
Jab main chhota tha natkhat tha
larhta tha jhagarhta tha doosaron se
Sarartain karta tha apnon se
Darta tha mata pita se ore sikha
Sacchai, swabhiman ore swavlamben ko unhin se.
Barha hua aage barha bahar gaya
Dosta mile dushman bhi mile
Dosta kam dushman jyada bane,
Fir bhi main aage badhata raha
Kam oron ke bahut aaya
Apne kam koi na aaya
Mujhe vo waqt…………..
Garib ko bhi dekha ore amir ko bhi
Farq donon main bas etna paya
Amir ne paisa paya garib ne pasina bahaya
Garib ne mahal banaye amir ne jhoparhi
Garib ne amir ko bhagwan banaya
Amir ne garib ko janwar
Amir khata raha garib dekhta raha
Do took pane ko bhook mitane ko
Taras fhir bhi na aaya
Mujhe vo waqt……
Hajaron main ek ko larhte dekha un garibon ke liye
Masiha bhi bana unke liye jindagi ke us anta tak jahan koi na raha uske liya.
Socho kya ye sab galat hai
Yadi nahin to fir …………
Din bitate rahe samay jata raha log bhagte rahe doosaron ko lootane ke liye ore apne aap ko duniya ki najaron ke samne …………
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment